taDap alam mein nahin hai sukun KHushi mein nahin
taḌap alam meñ nahīñ hai sukūñ ḳhushī meñ nahīñ
bahut dinoñ se koī lutf zindagī meñ nahīñ
agar ye sach hai to lāzim hai ḳhud-farāmoshī
ḳhud-āgahī ke sivā kuchh ḳhud-āgahī meñ nahīñ
jamī huī hai shab-e-hijr-e-āsmāñ pe nazar
tirī jhalak to sitāroñ kī raushnī meñ nahīñ
jo ahl-e-dil ho to mafhūm-e-ḳhāmushī samjho
ye kyā kahā koī mafhūm ḳhāmushī meñ nahīñ
kamāl-e-dard pe nāzāñ haiñ āshiqī vaale
ma.āl-e-dard abhī zehn-e-āshiqī meñ nahīñ
bas ab to un kī nazar yaad aa ga.ī 'shāhid'
jo baat un kī nazar meñ hai shā.irī meñ nahīñ
taDap alam mein nahin hai sukun KHushi mein nahin
bahut dinon se koi lutf zindagi mein nahin
agar ye sach hai to lazim hai KHud-faramoshi
KHud-agahi ke siwa kuchh KHud-agahi mein nahin
jami hui hai shab-e-hijr-e-asman pe nazar
teri jhalak to sitaron ki raushni mein nahin
jo ahl-e-dil ho to mafhum-e-KHamushi samjho
ye kya kaha koi mafhum KHamushi mein nahin
kamal-e-dard pe nazan hain aashiqi wale
maal-e-dard abhi zehn-e-ashiqi mein nahin
bas ab to un ki nazar yaad aa gai 'shahid'
jo baat un ki nazar mein hai shairi mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.