taDap bhi hai meri aur bais-e-sukun bhi hai
taḌap bhī hai mirī aur bā.is-e-sukūñ bhī hai
tirā badan mirā hāsil bhī hai, junūñ bhī hai
badan pe dauḌtī āñkhoñ kī pyaas ġhaur se paḌh
ki aañkh zarra-e-sahrā-e-andarūñ bhī hai
qubūl kar nigah-e-pā.emāl ḳhush-badanī
mirī anā kā ye parcham hai, aur nigūñ bhī hai
mirī nigāh bhī bahkī huī hai kuchh, aur kuchh
hayā-e-husn ruḳh-e-yār par fuzūñ bhī hai
tumhārī diid kī bhī hai mahak in āñkhoñ meñ
isī navāh meñ ḳhushbū-e-jū-e-ḳhūñ bhī hai
taDap bhi hai meri aur bais-e-sukun bhi hai
tera badan mera hasil bhi hai, junun bhi hai
badan pe dauDti aankhon ki pyas ghaur se paDh
ki aankh zarra-e-sahra-e-andarun bhi hai
qubul kar nigah-e-paemal KHush-badani
meri ana ka ye parcham hai, aur nigun bhi hai
meri nigah bhi bahki hui hai kuchh, aur kuchh
haya-e-husn ruKH-e-yar par fuzun bhi hai
tumhaari did ki bhi hai mahak in aankhon mein
isi nawah mein KHushbu-e-ju-e-KHun bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.