taDap hayat mein baham rahe to baat bane
taḌap hayāt meñ bāham rahe to baat bane
ḳhushī ke saath agar ġham rahe to baat bane
sajā ke dekh lo mahfil hazār rangoñ se
tumhāre saath agar ham rahe to baat bane
ye maanā ki mujhe rone kā kuchh shu.ūr nahīñ
magar ye aañkh zarā nam rahe to baat bane
tumhāre lams meñ chāragarī sahī lekin
tumhāre haath meñ marham rahe to baat bane
anā-pasand bulandī pe aa ke bhuul ga.e
agar kamān zarā ḳham rahe to baat bane
zarā sā talḳh ho lahja to koī baat nahīñ
agarche lafz mulā.em rahe to baat bane
mirī nigāh kahāñ tak javāb degī 'azān'
tirī nigāh ye mub.ham rahe to baat bane
taDap hayat mein baham rahe to baat bane
KHushi ke sath agar gham rahe to baat bane
saja ke dekh lo mahfil hazar rangon se
tumhaare sath agar hum rahe to baat bane
ye mana ki mujhe rone ka kuchh shuur nahin
magar ye aankh zara nam rahe to baat bane
tumhaare lams mein chaaragari sahi lekin
tumhaare hath mein marham rahe to baat bane
ana-pasand bulandi pe aa ke bhul gae
agar kaman zara KHam rahe to baat bane
zara sa talKH ho lahja to koi baat nahin
agarche lafz mulaem rahe to baat bane
meri nigah kahan tak jawab degi 'azan'
teri nigah ye mubham rahe to baat bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.