taDap kar shiddat-e-gham se jab un ka nam lete hain
taḌap kar shiddat-e-ġham se jab un kā naam lete haiñ
ye vahshī nabz-e-raftār-e-do-'ālam thaam lete haiñ
ham ahl-e-dil kahāñ ehsān-e-lutf-e-‘ām lete haiñ
lab-e-gulfām se kaif-e-mai-e-gulfām lete haiñ
ye goristāñ nahīñ ārām-gāh-e-ahl-e-duniyā hai
yahāñ haare thake aa kar zarā ārām lete haiñ
ham ā.īn-e-mohabbat se to begāna nahīñ lekin
jab un kā zikr aatā hai kaleja thaam lete haiñ
hadīs-e-'ishq kī tafsīr soz-e-‘ishq hai 'bismil'
ḳhudā ke naam se pahle ham un kā naam lete haiñ
taDap kar shiddat-e-gham se jab un ka nam lete hain
ye wahshi nabz-e-raftar-e-do-'alam tham lete hain
hum ahl-e-dil kahan ehsan-e-lutf-e-‘am lete hain
lab-e-gulfam se kaif-e-mai-e-gulfam lete hain
ye goristan nahin aaram-gah-e-ahl-e-duniya hai
yahan haare thake aa kar zara aaram lete hain
hum aain-e-mohabbat se to begana nahin lekin
jab un ka zikr aata hai kaleja tham lete hain
hadis-e-'ishq ki tafsir soz-e-‘ishq hai 'bismil'
KHuda ke nam se pahle hum un ka nam lete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.