taḌap ke raat basar kī jo ik muhim sar kī
chhurī thī mere liye jo shikan thī bistar kī
araq araq haiñ jo garmī se roz-e-mahshar kī
panāh DhūñDte haiñ mere dāman-e-tar kī
huā gumān usī shoḳh-e-sust-paimāñ kā
agar havā se bhī zanjīr hil ga.ī dar kī
isī taraf tire qurbāñ nigāh-e-sharm-ālūd
mujhī pe tez ho ye baaḌh kund ḳhanjar kī
ḳhirām vo jo hilā de jigar farishtoñ kā
nigāh vo jo ulaT de safoñ ko mahshar kī
sajā.ī hazrat-e-vā.iz ne kis takalluf se
matā-e-zohd-o-varā sīḌhiyoñ pe mimbar kī
ubuur bahr-e-haqīqat se jab nahīñ mumkin
kināre baiTh ke lahreñ ginūñ samundar kī
sunegā kaun sunī jā.egī 'safī' kis se
tumhārī rām-kahānī ye zindagī bhar kī
taDap ke raat basar ki jo ek muhim sar ki
chhuri thi mere liye jo shikan thi bistar ki
araq araq hain jo garmi se roz-e-mahshar ki
panah DhunDte hain mere daman-e-tar ki
hua guman usi shoKH-e-sust-paiman ka
agar hawa se bhi zanjir hil gai dar ki
isi taraf tere qurban nigah-e-sharm-alud
mujhi pe tez ho ye baDh kund KHanjar ki
KHiram wo jo hila de jigar farishton ka
nigah wo jo ulaT de safon ko mahshar ki
sajai hazrat-e-waiz ne kis takalluf se
mata-e-zohd-o-wara siDhiyon pe mimbar ki
ubur bahr-e-haqiqat se jab nahin mumkin
kinare baiTh ke lahren ginun samundar ki
sunega kaun suni jaegi 'safi' kis se
tumhaari ram-kahani ye zindagi bhar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.