taDap mein bhi maza aane laga hai gham ke maron ko
taḌap meñ bhī maza aane lagā hai ġham ke māroñ ko
ḳhayāl-e-sarḳhushī bahkā na de in sogvāroñ ko
gulistāñ jo banānā chāhte the ḳhārzāroñ ko
unhīñ kī shoḳh-gāmī rauñdtī hai lāla-zāroñ ko
sa.ādat chāhtā thā kal falak bhī jin ke sajdoñ kī
bagūle DhūñDte phirte haiñ aaj un ke ġhubāroñ ko
mai-o-kausar kī ḳhātir jab ye ḳhud sajdoñ meñ girtā hai
to kis muñh se burā kahtā hai zāhid mai-gusāroñ ko
rumūz-e-ishq se koī use āgāh kar detā
jalā kar hañs rahī hai sham.a apne jāñ-nisāroñ ko
atā kar dī mire husn-e-nazar ne shān-e-yaktā.ī
jahāñ meñ kaun varna pūchhtā thā gul-'izāroñ ko
na dekhe jā sake jo tuur par mushtāq nazroñ se
ba-chashm-e-shauq ham ne ḳhuub dekhā un nazāroñ ko
azal se jo fanā kā ḳhauf le kar sahme baiThe haiñ
talātum-āshnā kartā hai 'sābir' un kināroñ ko
taDap mein bhi maza aane laga hai gham ke maron ko
KHayal-e-sarKHushi bahka na de in sogwaron ko
gulistan jo banana chahte the KHarzaron ko
unhin ki shoKH-gami raundti hai lala-zaron ko
saadat chahta tha kal falak bhi jin ke sajdon ki
bagule DhunDte phirte hain aaj un ke ghubaron ko
mai-o-kausar ki KHatir jab ye KHud sajdon mein girta hai
to kis munh se bura kahta hai zahid mai-gusaron ko
rumuz-e-ishq se koi use aagah kar deta
jala kar hans rahi hai shama apne jaan-nisaron ko
ata kar di mere husn-e-nazar ne shan-e-yaktai
jahan mein kaun warna puchhta tha gul-'izaron ko
na dekhe ja sake jo tur par mushtaq nazron se
ba-chashm-e-shauq hum ne KHub dekha un nazaron ko
azal se jo fana ka KHauf le kar sahme baiThe hain
talatum-ashna karta hai 'sabir' un kinaron ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.