taDap raha hai dil-e-be-qarar aa jao
taḌap rahā hai dil-e-be-qarār aa jaao
bas ek baar ai jān-e-bahār aa jaao
tumhāre aane se lauT aa.egī chaman meñ bahār
ḳhizāñ uḌāne lagī hai ġhubār aa jaao
lagā dī aag gulistāñ meñ dushmanoñ ne magar
bujhā.eñ aag jo haiñ jāñ-nisār aa jaao
haiñ ghar ke saare darīche hī vā tumhāre liye
tasavvurāt kī duniyā meñ yaar aa jaao
na chhūT jaa.e kahīñ ab ye zabt kā dāman
na jaao ruuTh ke jān-e-bahār aa jaao
sahar kā taarā bhī 'shāhīn' kah rahā hai yahī
guzar na jaa.e shab-e-intizār aa jaao
taDap raha hai dil-e-be-qarar aa jao
bas ek bar ai jaan-e-bahaar aa jao
tumhaare aane se lauT aaegi chaman mein bahaar
KHizan uDane lagi hai ghubar aa jao
laga di aag gulistan mein dushmanon ne magar
bujhaen aag jo hain jaan-nisar aa jao
hain ghar ke sare dariche hi wa tumhaare liye
tasawwuraat ki duniya mein yar aa jao
na chhuT jae kahin ab ye zabt ka daman
na jao ruTh ke jaan-e-bahaar aa jao
sahar ka tara bhi 'shahin' kah raha hai yahi
guzar na jae shab-e-intizar aa jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.