taDap rahi hai jabin apni sang-e-dar ke liye
taḌap rahī hai jabīñ apnī sang-e-dar ke liye
bas ek sajda hī kaafī hai umr bhar ke liye
ujāle baañT ke duniyā ko ye ḳhayāl aayā
koī charāġh nahīñ rakkhā apne ghar ke liye
mujhe yaqīn hai dekhūñgā apnī āñkhoñ se
charāġh-e-dil ko jalāyā hai jis sahar ke liye
taDap rahi hai jabin apni sang-e-dar ke liye
bas ek sajda hi kafi hai umr bhar ke liye
ujale banT ke duniya ko ye KHayal aaya
koi charagh nahin rakkha apne ghar ke liye
mujhe yaqin hai dekhunga apni aankhon se
charagh-e-dil ko jalaya hai jis sahar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.