taDap taDap ke guzari hai raat kis se kahen
taḌap taḌap ke guzārī hai raat kis se kaheñ
hazār karb kī maarī hai raat kis se kaheñ
use bhī hijr kā sadma hai din kī chāhat hai
kise batā.eñ kuñvārī hai raat kis se kaheñ
ġham-e-firāq meñ ik lutf bhī to aatā hai
baḌī aziiz hai pyārī hai raat kis se kaheñ
yahī hai apnā muqaddar yahī nasīb bhī hai
ye din hamārā hamārī hai raat kis se kaheñ
sahar huī hai magar ab bhī aisā lagtā hai
vahī añdherā hai jaarī hai raat kis se kaheñ
na niiñd āñkhoñ meñ aa.ī na ḳhvāb aate haiñ
mire vajūd pe bhārī hai raat kis se kaheñ
kisī kī yaad kā dāman pakaḌ ke baiTh ga.e
kuchh is tarah se sañvārī hai raat kis se kaheñ
ye zindagī bhī faqat ek shab kā qissa hai
tamām umr pe taarī hai raat kis se kaheñ
nahīñ hai koī shikāyat 'nasīm-ansārī’
ki hukm-e-rab ne utārī hai raat kis se kaheñ
taDap taDap ke guzari hai raat kis se kahen
hazar karb ki mari hai raat kis se kahen
use bhi hijr ka sadma hai din ki chahat hai
kise bataen kunwari hai raat kis se kahen
gham-e-firaq mein ek lutf bhi to aata hai
baDi aziz hai pyari hai raat kis se kahen
yahi hai apna muqaddar yahi nasib bhi hai
ye din hamara hamari hai raat kis se kahen
sahar hui hai magar ab bhi aisa lagta hai
wahi andhera hai jari hai raat kis se kahen
na nind aankhon mein aai na KHwab aate hain
mere wajud pe bhaari hai raat kis se kahen
kisi ki yaad ka daman pakaD ke baiTh gae
kuchh is tarah se sanwari hai raat kis se kahen
ye zindagi bhi faqat ek shab ka qissa hai
tamam umr pe tari hai raat kis se kahen
nahin hai koi shikayat 'nasim-ansari’
ki hukm-e-rab ne utari hai raat kis se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.