taDapte dil ki kashti muflisi mein Dub jaegi
taḌapte dil kī kashtī muflisī meñ Duub jā.egī
mohabbat ban ke hasrat bebasī meñ Duub jā.egī
isī ummīd par sahtā rahā maiñ dhuup kī yūrish
kisī din merī hastī chāñdnī meñ Duub jā.egī
ḳhudā kā shukr hai bachche mire tahzīb vaale haiñ
ye Dar thā nasl apnī tīrgī meñ Duub jā.egī
yahī āsār lagtā hai na mil pā.eñge ham donoñ
tamannā vasl kī ġham kī nadī meñ Duub jā.egī
kahāñ tak dāstān-e-ġham sunā.eñ aap ko 'irfān'
tabī.at aap kī phir bekalī meñ Duub jā.egī
taDapte dil ki kashti muflisi mein Dub jaegi
mohabbat ban ke hasrat bebasi mein Dub jaegi
isi ummid par sahta raha main dhup ki yurish
kisi din meri hasti chandni mein Dub jaegi
KHuda ka shukr hai bachche mere tahzib wale hain
ye Dar tha nasl apni tirgi mein Dub jaegi
yahi aasar lagta hai na mil paenge hum donon
tamanna wasl ki gham ki nadi mein Dub jaegi
kahan tak dastan-e-gham sunaen aap ko 'irfan'
tabiat aap ki phir bekali mein Dub jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.