taDapte dil ko kafi hai bas itna wahima rakhna
taḌapte dil ko kaafī hai bas itnā vāhima rakhnā
bichhaḌne vaalā lauTegā hamesha hausla rakhnā
chale jā.eñge ham bhī dosto duniyā-e-fānī se
faqat itnī guzārish hai duā kā silsila rakhnā
ki ham bad-baḳht logoñ meñ bas ik ye hī burā.ī hai
duā.eñ der se lagtī haiñ jaanī hausla rakhnā
tumheñ ḳhushiyāñ mubārak hoñ hamāre ġham ziyāda haiñ
tumheñ talqīn hai utnī ki ham se fāsla rakhnā
ki paanī jitnā gadlā ho bujhā detā hai ātish ko
hamāre jaisoñ se bhī yaar thoḌā vāsta rakhnā
bichhaḌ kar tum kahīñ milnā to hañs kar baat kar lenā
ba-juz is ke nahīñ koī hameñ bhī rābta rakhnā
taDapte dil ko kafi hai bas itna wahima rakhna
bichhaDne wala lauTega hamesha hausla rakhna
chale jaenge hum bhi dosto duniya-e-fani se
faqat itni guzarish hai dua ka silsila rakhna
ki hum bad-baKHt logon mein bas ek ye hi burai hai
duaen der se lagti hain jaani hausla rakhna
tumhein KHushiyan mubarak hon hamare gham ziyaada hain
tumhein talqin hai utni ki hum se fasla rakhna
ki pani jitna gadla ho bujha deta hai aatish ko
hamare jaison se bhi yar thoDa wasta rakhna
bichhaD kar tum kahin milna to hans kar baat kar lena
ba-juz is ke nahin koi hamein bhi rabta rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.