taDpen kab tak teri furqat mein mohabbat wale
taḌpeñ kab tak tirī furqat meñ mohabbat vaale
aa idhar bhī kabhī o nāz-o-nazākat vaale
shaiḳh-o-vā.iz hoñ na kis tarah karāmat vaale
hazrat-e-pīr-e-muġhāñ kī haiñ ye sohbat vaale
kab tak īzā.eñ saheñ terī mohabbat vaale
rahm kar rahm kar o zulm kī aadat vaale
shaiḳh rindoñ ko burā kah ke gunahgār na ban
are kambaḳht yahī log haiñ jannat vaale
dekh jā aa ke ki ab naza.a kī hālat hai mirī
itnī taklīf kar ai merī nazākat vaale
mujh se aasī ko jo mahshar meñ milā bāġh-e-bahisht
rah ga.e dekh ke muñh zohd-o-ibādat vaale
terī furqat meñ taḌaptā hai mirā dil kaisā
dekh aa kar kabhī o saḳht tabī.at vaale
jhuum kar aane to de abr-e-siyah ai saaqī
abhī aa jā.eñge maiḳhāne kī sohbat vaale
dil to kyā jaan fidā kar deñ tire qadmoñ par
āshiqoñ meñ tire aise bhī haiñ himmat vaale
chīḳh uThe aate hī masjid meñ janāb-e-vā.iz
chauñk uThte haiñ yuuñ hī ḳhvāb se ġhaflat vaale
koī kartā hai mai-e-ishq ko jaa.ez koī man.a
dekheñ kyā hukm lagāte haiñ sharī.at vaale
sohbat-e-mai meñ bhī miltā nahīñ vaa.iz ko maza
aise dekhe hī nahīñ ḳhushk tabī.at vaale
rah gayā chup hī savāloñ pe nakīrain ke maiñ
sun chukā thā ki farishte haiñ ye jannat vaale
kal se hai va.ada-e-vasl aaj na kah yaad nahīñ
is qadar bhuul na o bhuul kī aadat vaale
qabr se uTh ke qayāmat meñ vahīñ pahūñcheñge
hauz-e-kausar hī pe dam leñge tire matvāle
mayyat-e-āshiq-e-shaidā hai uThānā lāzim
itnā nāzuk na ban o mere nazākat vaale
munfa.il ho ke hue pursish-e-isyāñ se barī
sab se achchhe rahe mahshar meñ nadāmat vaale
ham kaheñ kyā ki hameñ kuchh nahīñ aatā hai 'fahīm'
naaz karte haiñ tabī.at pe tabī.at vaale
taDpen kab tak teri furqat mein mohabbat wale
aa idhar bhi kabhi o naz-o-nazakat wale
shaiKH-o-waiz hon na kis tarah karamat wale
hazrat-e-pir-e-mughan ki hain ye sohbat wale
kab tak izaen sahen teri mohabbat wale
rahm kar rahm kar o zulm ki aadat wale
shaiKH rindon ko bura kah ke gunahgar na ban
are kambaKHt yahi log hain jannat wale
dekh ja aa ke ki ab naza ki haalat hai meri
itni taklif kar ai meri nazakat wale
mujh se aasi ko jo mahshar mein mila bagh-e-bahisht
rah gae dekh ke munh zohd-o-ibaadat wale
teri furqat mein taDapta hai mera dil kaisa
dekh aa kar kabhi o saKHt tabiat wale
jhum kar aane to de abr-e-siyah ai saqi
abhi aa jaenge maiKHane ki sohbat wale
dil to kya jaan fida kar den tere qadmon par
aashiqon mein tere aise bhi hain himmat wale
chiKH uThe aate hi masjid mein janab-e-waiz
chaunk uThte hain yun hi KHwab se ghaflat wale
koi karta hai mai-e-ishq ko jaez koi mana
dekhen kya hukm lagate hain shariat wale
sohbat-e-mai mein bhi milta nahin waiz ko maza
aise dekhe hi nahin KHushk tabiat wale
rah gaya chup hi sawalon pe nakirain ke main
sun chuka tha ki farishte hain ye jannat wale
kal se hai wada-e-wasl aaj na kah yaad nahin
is qadar bhul na o bhul ki aadat wale
qabr se uTh ke qayamat mein wahin pahunchenge
hauz-e-kausar hi pe dam lenge tere matwale
mayyat-e-ashiq-e-shaida hai uThana lazim
itna nazuk na ban o mere nazakat wale
munfail ho ke hue pursish-e-isyan se bari
sab se achchhe rahe mahshar mein nadamat wale
hum kahen kya ki hamein kuchh nahin aata hai 'fahim'
naz karte hain tabiat pe tabiat wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.