tafkir ko huruf ke sanche mein Dhaal ke
tafkīr ko hurūf ke sāñche meñ Dhaal ke
alfāz ko tū baḳhsh anāsir jamāl ke
tārīf terī eḌ ho tanqīd ho lagām
sahrā-e-fikr meñ uḌā ghoḌe ḳhayāl ke
bahr-e-hayāt meñ haiñ haqīqat ke jo sadaf
ash.ār meñ piro tū ye motī nikāl ke
hai terī jā.edād ye hurriyat-e-kalām
kar sarf is matā.a ko na rakh sambhāl ke
shīrīni-e-hayāt aur talḳhī-e-tajrabāt
hoñ zikr tere sher meñ hijr-o-visāl ke
zāhir tazād ziist ho tere kalām meñ
charche ġhinā-o-faqr atā ke vabāl ke
ho rif.at-e-ḳhayāl terī tā-falak 'anīs'
alfāz aur ma.ānī hoñ jauhar kamāl ke
tafkir ko huruf ke sanche mein Dhaal ke
alfaz ko tu baKHsh anasir jamal ke
tarif teri eD ho tanqid ho lagam
sahra-e-fikr mein uDa ghoDe KHayal ke
bahr-e-hayat mein hain haqiqat ke jo sadaf
ashaar mein piro tu ye moti nikal ke
hai teri jaedad ye hurriyat-e-kalam
kar sarf is mataa ko na rakh sambhaal ke
shirini-e-hayat aur talKHi-e-tajrabaat
hon zikr tere sher mein hijr-o-visal ke
zahir tazad zist ho tere kalam mein
charche ghina-o-faqr ata ke wabaal ke
ho rifat-e-KHayal teri ta-falak 'anis'
alfaz aur maani hon jauhar kamal ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.