tafrih-e-chashm-o-dil ko gulistan hai shaeri
tafrīh-e-chashm-o-dil ko gulistāñ hai shā.erī
ai ahl-e-zauq hāsil-e-armāñ hai shā.erī
mastī-e-kaif-o-naġhma barasne lage agar
raqs-e-bahār jalva-e-jānāñ hai shā.erī
hai lā-shu.ūr ke liye talbīs-e-ahraman
īmān ho to rahmat-e-yazdāñ hai shā.erī
ahl-e-nazar ne bhar liye dāman umiid ke
gulhā-e-rang rang-e-bahārāñ hai shā.erī
ho sheriyat nasīb to rashk-e-chaman bane
vahshat huī yūñhī to bayābāñ hai shā.erī
shāhid haiñ mere qaul pe tārīḳh ke varaq
parvarda-e-tamaddun-e-insāñ hai shā.erī
dhul jaatī hai jo kausar-o-tasnīm se zabāñ
jannat-nisār-o-hūr badāmāñ hai shā.erī
ye falsafa ḳhulāsa-e-har-qīl-o-qāl hai
mushkil agar nahīñ hai to āsāñ hai shā.erī
'sāqib' bayāz-e-sher kī tartīb ḳhaas ho
aurāq-e-gul kī tarah pareshāñ hai shā.erī
tafrih-e-chashm-o-dil ko gulistan hai shaeri
ai ahl-e-zauq hasil-e-arman hai shaeri
masti-e-kaif-o-naghma barasne lage agar
raqs-e-bahaar jalwa-e-jaanan hai shaeri
hai la-shuur ke liye talbis-e-ahraman
iman ho to rahmat-e-yazdan hai shaeri
ahl-e-nazar ne bhar liye daman umid ke
gulha-e-rang rang-e-bahaaran hai shaeri
ho sheriyat nasib to rashk-e-chaman bane
wahshat hui yunhi to bayaban hai shaeri
shahid hain mere qaul pe tariKH ke waraq
parwarda-e-tamaddun-e-insan hai shaeri
dhul jati hai jo kausar-o-tasnim se zaban
jannat-nisar-o-hur badaman hai shaeri
ye falsafa KHulasa-e-har-qil-o-qal hai
mushkil agar nahin hai to aasan hai shaeri
'saqib' bayaz-e-sher ki tartib KHas ho
auraq-e-gul ki tarah pareshan hai shaeri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.