tah-ba-tah aasman jaisi thi
tah-ba-tah āsmān jaisī thī
har musībat chaTān jaisī thī
dār-e-fānī meñ aish kyā karte
zindagī imtihān jaisī thī
chāhatoñ kī hasīn rāhoñ meñ
dhuup bhī sā.ebān jaisī thī
jism saarā sajā huā gulshan
ruuh ḳhālī miyān jaisī thī
din bhī kaTtā na thā mohabbat meñ
raat bhī saḳht-jān jaisī thī
shahr meñ aa ke ban ga.ī kyā kuchh
gaañv meñ ye kisān jaisī thī
suntā rahtā thā us ko har lamha
vo hasīñ dāstān jaisī thī
us kī hastī bhī kyā kahūñ 'nāshād'
mere ujḌe makān jaisī thī
tah-ba-tah aasman jaisi thi
har musibat chaTan jaisi thi
dar-e-fani mein aish kya karte
zindagi imtihan jaisi thi
chahaton ki hasin rahon mein
dhup bhi saeban jaisi thi
jism sara saja hua gulshan
ruh KHali miyan jaisi thi
din bhi kaTta na tha mohabbat mein
raat bhi saKHt-jaan jaisi thi
shahr mein aa ke ban gai kya kuchh
ganw mein ye kisan jaisi thi
sunta rahta tha us ko har lamha
wo hasin dastan jaisi thi
us ki hasti bhi kya kahun 'nashad'
mere ujDe makan jaisi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.