tah-ba-tah uljhi hui rahguzar mein gum tha
tah-ba-tah uljhī huī rāhguzar meñ gum thā
maiñ ki har lamha balā-ḳhez safar meñ gum thā
ek afsurda-o-namnāk fazā raushan thī
aur maiñ ḳhauf ke tārīk khañDar meñ gum thā
tah-e-girdāb nihāñ thā na sar-e-āb ayaañ
ya.anī vo halqa-e-sad-mauj-e-hunar meñ gum thā
justujū ḳhaak uḌātī rahī shahroñ shahroñ
apnā sarmāya-e-jāñ apne hī ghar meñ gum thā
har qadam par shajar-e-shauq ke saa.e the magar
dam-e-fursat bhī to maiñ ḳhvāb-e-safar meñ gum thā
bas-ki ye raaz khulā bhī to pas-e-marg-e-talāsh
vo mirī āñkhoñ meñ maiñ us kī nazar meñ gum thā
har qadam par na.ī dīvār thī mahrūmī kī
hausla ḳhaak uḌāne kā safar meñ gum thā
tah-ba-tah uljhi hui rahguzar mein gum tha
main ki har lamha bala-KHez safar mein gum tha
ek afsurda-o-namnak faza raushan thi
aur main KHauf ke tarik khanDar mein gum tha
tah-e-girdab nihan tha na sar-e-ab ayan
yani wo halqa-e-sad-mauj-e-hunar mein gum tha
justuju KHak uDati rahi shahron shahron
apna sarmaya-e-jaan apne hi ghar mein gum tha
har qadam par shajar-e-shauq ke sae the magar
dam-e-fursat bhi to main KHwab-e-safar mein gum tha
bas-ki ye raaz khula bhi to pas-e-marg-e-talash
wo meri aankhon mein main us ki nazar mein gum tha
har qadam par nai diwar thi mahrumi ki
hausla KHak uDane ka safar mein gum tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.