tah-e-aflak hi sab kuchh nahin hai
tah-e-aflāk hī sab kuchh nahīñ hai
zamīñ kī ḳhaak hī sab kuchh nahīñ hai
ka.ī sachchā.iyāñ haiñ māvarā bhī
had-e-idrāk hī sab kuchh nahīñ hai
dil-o-jāñ kī bhī nisbat hai junūñ se
qabā-e-chāk hī sab kuchh nahīñ hai
ye gul buuTe bahut dilkash haiñ lekin
sar-e-poshāk hī sab kuchh nahīñ hai
abhī hai ibtidā mashq-e-sitam kī
lab-e-saffāk hī sab kuchh nahīñ hai
tah-e-aflak hi sab kuchh nahin hai
zamin ki KHak hi sab kuchh nahin hai
kai sachchaiyan hain mawara bhi
had-e-idrak hi sab kuchh nahin hai
dil-o-jaan ki bhi nisbat hai junun se
qaba-e-chaak hi sab kuchh nahin hai
ye gul buTe bahut dilkash hain lekin
sar-e-poshak hi sab kuchh nahin hai
abhi hai ibtida mashq-e-sitam ki
lab-e-saffak hi sab kuchh nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.