tahayyuraat ka aaina teri kam-suKHani
tahayyurāt kā ā.īna terī kam-suḳhanī
paḌī haiñ mujh ko musalsal jo āfateñ sahnī
pasīna ḳhuun thakan aable shakebā.ī
'ajīb chiiz hai yaaro mazāq-e-kohkanī
butoñ ko toḌnā sadiyoñ se jin kā īmāñ thā
shi'ār ban gayā un kā mazāq-e-dil-shikanī
hasīn jism haiñ show-case meñ sajā.e hue
ḳharīdā jaatā hai arzāñ vaqār-e-gul-badanī
'ajīb shor thā zāġh-o-zaġhan kī mahfil meñ
sadā-e-tā.ir-e-shīrīñ nahīñ kisī ne sunī
har ek samt se baunoñ ne sangsār kiyā
buland-qāmatī mere liye 'azāb banī
tahayyuraat ka aaina teri kam-suKHani
paDi hain mujh ko musalsal jo aafaten sahni
pasina KHun thakan aable shakebai
'ajib chiz hai yaro mazaq-e-kohkani
buton ko toDna sadiyon se jin ka iman tha
shi'ar ban gaya un ka mazaq-e-dil-shikani
hasin jism hain show-case mein sajae hue
KHarida jata hai arzan waqar-e-gul-badani
'ajib shor tha zagh-o-zaghan ki mahfil mein
sada-e-tair-e-shirin nahin kisi ne suni
har ek samt se baunon ne sangsar kiya
buland-qamati mere liye 'azab bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.