Tahnī Tahnī se ḳhuun jaarī hai
ham ne aise ḳhizāñ guzārī hai
aisā lagtā hai niilī jhīloñ kī
terī āñkhoñ se rishta-dārī hai
maiñ huuñ shāgird is liye us kā
ishq sab se baḌā madārī hai
ḳhvāb dekhā ki ik shajar huuñ maiñ
aur tire haath meñ ik aarī hai
merī tasvīr kī taraf dekho
jis ne ro ro ke shab guzārī hai
ek chāñTā paḌā to jānoge
vaqt kā haath kitnā bhārī hai
ruuh ko de ke niiñd kī golī
sair us ke badan kī jaarī hai
maiñ zarā paanī pī ke aatā huuñ
tirī qurbat bahut karārī hai
har shikārī kī taak meñ beTe
koī us se baḌā shikārī hai
kaam ab vo charāġh kar rahe haiñ
jo havāoñ kī zimmedārī hai
ik dhamāka huā hai cinema meñ
mar ga.e log film jaarī hai
jaun sāhib mire muāmle meñ
hijr meñ bhī visāl taarī hai
jā rahe haiñ ḳhudā se milne ham
ye zamīñ to bas ik savārī hai
dil hai terī judā.ī meñ jaise
koī haarā huā juārī hai
maar Daalā hai ek kamsin ne
hoñT halke haiñ bosa bhārī hai
aam hone lagā hai thoḌā bahut
jo mirā dīn-e-tāza-kārī hai
‘alī-armān' ko sañbhāl ke rakh
ye tirā āḳhirī pujārī hai
Tahni Tahni se KHun jari hai
hum ne aise KHizan guzari hai
aisa lagta hai nili jhilon ki
teri aankhon se rishta-dari hai
main hun shagird is liye us ka
ishq sab se baDa madari hai
KHwab dekha ki ek shajar hun main
aur tere hath mein ek aari hai
meri taswir ki taraf dekho
jis ne ro ro ke shab guzari hai
ek chanTa paDa to jaanoge
waqt ka hath kitna bhaari hai
ruh ko de ke nind ki goli
sair us ke badan ki jari hai
main zara pani pi ke aata hun
teri qurbat bahut karari hai
har shikari ki tak mein beTe
koi us se baDa shikari hai
kaam ab wo charagh kar rahe hain
jo hawaon ki zimmedari hai
ek dhamaka hua hai cinema mein
mar gae log film jari hai
jaun sahib mere muamle mein
hijr mein bhi visal tari hai
ja rahe hain KHuda se milne hum
ye zamin to bas ek sawari hai
dil hai teri judai mein jaise
koi haara hua juari hai
mar Dala hai ek kamsin ne
honT halke hain bosa bhaari hai
aam hone laga hai thoDa bahut
jo mera din-e-taza-kari hai
‘ali-arman' ko sanbhaal ke rakh
ye tera aaKHiri pujari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.