tahqiq ka charagh jala dil ko dil bana
tahqīq kā charāġh jalā dil ko dil banā
ġhaflat ke sab hijāb miTā dil ko dil banā
ye jalva-gāh-e-husn hai kuchh is kī qadr kar
tasvīr-e-yār is meñ lagā dil ko dil banā
marne se pahle siikh le mar jaane kā hunar
har saañs de rahī hai sadā dil ko dil banā
dhaḌkan kī dastakoñ pe zarā kaan to lagā
le saut-e-sarmadī kā maza dil ko dil banā
ġham meñ tujhe na ġham ho ḳhushī meñ ḳhushī na ho
lā dil ko is maqām pe lā dil ko dil banā
tahqiq ka charagh jala dil ko dil bana
ghaflat ke sab hijab miTa dil ko dil bana
ye jalwa-gah-e-husn hai kuchh is ki qadr kar
taswir-e-yar is mein laga dil ko dil bana
marne se pahle sikh le mar jaane ka hunar
har sans de rahi hai sada dil ko dil bana
dhaDkan ki dastakon pe zara kan to laga
le saut-e-sarmadi ka maza dil ko dil bana
gham mein tujhe na gham ho KHushi mein KHushi na ho
la dil ko is maqam pe la dil ko dil bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.