tahrir badalti hai taqdir badalti hai
tahrīr badaltī hai taqdīr badaltī hai
māhaul badalne se tadbīr badaltī hai
jab rañg badaltā hai us chashm-e-fusūñ-gar kā
har jur.a-e-sahbā kī tāsīr badaltī hai
ye kyā tirī nisbat se har shai meñ talavvun hai
har lamha tire ġham kī tasvīr badaltī hai
hotā hai ik arsa tak jab ḳhuun tamannā kā
tab ḳhvāb-e-mohabbat kī ta.abīr badaltī hai
vo kuchh bhī kaheñ lekin maiñ ḳhuub samajhtā huuñ
ik jumbish-e-mizhgāñ se taqdīr badaltī hai
āzādī ke dīvāne qaidī ko ḳhabar de do
hotī hai rihā.ī kab zanjīr badaltī hai
tahrir badalti hai taqdir badalti hai
mahaul badalne se tadbir badalti hai
jab rang badalta hai us chashm-e-fusun-gar ka
har jura-e-sahba ki tasir badalti hai
ye kya teri nisbat se har shai mein talawwun hai
har lamha tere gham ki taswir badalti hai
hota hai ek arsa tak jab KHun tamanna ka
tab KHwab-e-mohabbat ki tabir badalti hai
wo kuchh bhi kahen lekin main KHub samajhta hun
ek jumbish-e-mizhgan se taqdir badalti hai
aazadi ke diwane qaidi ko KHabar de do
hoti hai rihai kab zanjir badalti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.