tai hi kab humne kiya tha ki bhulana hoga
tai hī kab ham ne kiyā thā ki bhulānā hogā
tum ne bas itnā kahā thā mujhe jaanā hogā
dil ko lagtā hai abhī kal kā hī qissa hai ye
log kahte haiñ koī pichhlā zamāna hogā
ab bhī un galiyoñ se ḳhushbū tirī aatī hogī
ab bhī us ghar meñ tirā lams tavānā hogā
jī rahā huuñ haqīqat meñ magar jāntā huuñ
hāsil-e-zindagī sirf ek fasāna hogā
maiñ to us roz ġham-e-hijr manā.ūñgā 'zakī'
jab mire zehn se vo shaḳhs ravāna hogā
tai hi kab hum ne kiya tha ki bhulana hoga
tum ne bas itna kaha tha mujhe jaana hoga
dil ko lagta hai abhi kal ka hi qissa hai ye
log kahte hain koi pichhla zamana hoga
ab bhi un galiyon se KHushbu teri aati hogi
ab bhi us ghar mein tera lams tawana hoga
ji raha hun haqiqat mein magar jaanta hun
hasil-e-zindagi sirf ek fasana hoga
main to us roz gham-e-hijr manaunga 'zaki'
jab mere zehn se wo shaKHs rawana hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.