tai ho nahin sake abhi do-chaar mil bhi
tai ho nahīñ sake abhī do-chār miil bhī
aur chubh rahī hai paaoñ meñ juute kī kiil bhī
afsos in parindoñ ko kaise batā.ūñ maiñ
ik roz suukh jā.egī yādoñ kī jhiil bhī
quantum kī kār-gāh-e-ajīb-o-ġharīb meñ
ik dā.era tikon bhī hai mustatīl bhī
munsif to ḳhair pahle hī dushman ke haq meñ the
mere ḳhilāf ho ga.e mere vakīl bhī
'armān' sabz baaġh kuchh aise dikhā.e haiñ
chalne lage haiñ saath mire sang-e-mīl bhī
tai ho nahin sake abhi do-chaar mil bhi
aur chubh rahi hai paon mein jute ki kil bhi
afsos in parindon ko kaise bataun main
ek roz sukh jaegi yaadon ki jhil bhi
quantum ki kar-gah-e-ajib-o-gharib mein
ek daera tikon bhi hai mustatil bhi
munsif to KHair pahle hi dushman ke haq mein the
mere KHilaf ho gae mere wakil bhi
'arman' sabz bagh kuchh aise dikhae hain
chalne lage hain sath mere sang-e-mil bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.