tai kar chuke ye zindagi-e-jawedan se hum
tai kar chuke ye zindagi-e-jāvedāñ se ham
aage baḌheñge aur uThe haiñ jahāñ se ham
kis ko sadā deñ kis se kaheñ saath le chalo
pīchhe rahe ġhubār-e-rah-e-kārvāñ se ham
dil meñ jo dard hai vo nigāhoñ se hai ayaañ
ye baat aur hai na kaheñ kuchh zabāñ se ham
chauñkā diyā qafas ne hameñ gahrī niind se
vābasta ho chale the bahut āshiyāñ se ham
gar aa bhī jaa.e merī jabīñ tak vo āstāñ
lā.eñge sajda-rezī kī aadat kahāñ se ham
faiz-e-junūñ se fursat-e-fariyād hī na thī
nā-āshnā hī rah ga.e tarz-e-fuġhāñ se ham
dekhī haiñ ham ne un kī pashīmāñ-nigāhiyāñ
kahnā ho laakh phir bhī kaheñ kis zabāñ se ham
tai kar chuke ye zindagi-e-jawedan se hum
aage baDhenge aur uThe hain jahan se hum
kis ko sada den kis se kahen sath le chalo
pichhe rahe ghubar-e-rah-e-karwan se hum
dil mein jo dard hai wo nigahon se hai ayan
ye baat aur hai na kahen kuchh zaban se hum
chaunka diya qafas ne hamein gahri nind se
wabasta ho chale the bahut aashiyan se hum
gar aa bhi jae meri jabin tak wo aastan
laenge sajda-rezi ki aadat kahan se hum
faiz-e-junun se fursat-e-fariyaad hi na thi
na-ashna hi rah gae tarz-e-fughan se hum
dekhi hain hum ne un ki pashiman-nigahiyan
kahna ho lakh phir bhi kahen kis zaban se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.