tai karunga ye andhera main akela kaise
tai karūñgā ye añdherā maiñ akelā kaise
mere hamrāh chalegā mirā saaya kaise
merī āñkhoñ kī chakā-chauñd batā saktī hai
jis ko dekhā hī na jaa.e use dekhā kaise
chāñdnī us se lipaT jaa.e havā.eñ kheleñ
koī rah saktā hai duniyā meñ achhūtā kaise
maiñ to us vaqt se Dartā huuñ ki vo pūchh na le
ye agar zabt kā aañsū hai to Tapkā kaise
yaad ke qasr haiñ ummīd kī qindīleñ haiñ
maiñ ne ābād kiye dard ke sahrā kaise
is liye sirf ḳhudā se hai taḳhātub merā
mere jazbāt ko samjhegā farishta kaise
zehn meñ nit-na.e but Dhaal ke ye dekhtā huuñ
but-kade ko vo banā letā hai kā'ba kaise
gar samundar hī se dariyāoñ kā rizq aatā hai
us ke siine meñ utar jaate haiñ dariyā kaise
kaise har saañs meñ aa jaatā huuñ fardā ke qarīb
phir bhī fardā mujhe de jaatā hai dhokā kaise
log jo ḳhāk-e-vatan bech ke khā jaate haiñ
apne hī qatl kā karte haiñ tamāshā kaise
tai karunga ye andhera main akela kaise
mere hamrah chalega mera saya kaise
meri aankhon ki chaka-chaund bata sakti hai
jis ko dekha hi na jae use dekha kaise
chandni us se lipaT jae hawaen khelen
koi rah sakta hai duniya mein achhuta kaise
main to us waqt se Darta hun ki wo puchh na le
ye agar zabt ka aansu hai to Tapka kaise
yaad ke qasr hain ummid ki qindilen hain
main ne aabaad kiye dard ke sahra kaise
is liye sirf KHuda se hai taKHatub mera
mere jazbaat ko samjhega farishta kaise
zehn mein nit-nae but Dhaal ke ye dekhta hun
but-kade ko wo bana leta hai ka'ba kaise
gar samundar hi se dariyaon ka rizq aata hai
us ke sine mein utar jate hain dariya kaise
kaise har sans mein aa jata hun farda ke qarib
phir bhi farda mujhe de jata hai dhoka kaise
log jo KHak-e-watan bech ke kha jate hain
apne hi qatl ka karte hain tamasha kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.