tai nim-jaan ka aaj bhi jhagDa na ho saka
tai nīm-jāñ kā aaj bhī jhagḌā na ho sakā
tujh se sitam bhī ai sitam-ārā na ho sakā
jab dard-e-dil kā tum se mudāvā na ho sakā
phir kuchh bhī tum se hazrat-e-īsā na ho sakā
allāh re ravānī-e-chashm-e-shab-e-firāq
yuuñ tez-rau kabhī koī dariyā na ho sakā
andher hai ki maut bhī ma.ashūq ban ga.ī
har chand chāhā raat ko marnā na ho sakā
kis vaqt bahar-e-pursish-e-bīmār aa.e vo
jab aañkh se bhī apnī ishārā na ho sakā
tai nim-jaan ka aaj bhi jhagDa na ho saka
tujh se sitam bhi ai sitam-ara na ho saka
jab dard-e-dil ka tum se mudawa na ho saka
phir kuchh bhi tum se hazrat-e-isa na ho saka
allah re rawani-e-chashm-e-shab-e-firaq
yun tez-rau kabhi koi dariya na ho saka
andher hai ki maut bhi mashuq ban gai
har chand chaha raat ko marna na ho saka
kis waqt bahar-e-pursish-e-bimar aae wo
jab aankh se bhi apni ishaara na ho saka
- Book : Nuquush Lahore (Pg. 453)
- Author : Mohd Tufail
- Publication : Idara Farog-e-urdu, Lahore (Feb.1956 )
- Edition : Feb.1956
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.