tairte tairte bezar hue Dub gae
tairte tairte bezār hue Duub ga.e
ham mohabbat ke gunahgār hue Duub ga.e
ham ḳhayāloñ meñ tire shaam ko sūraj kī tarah
jab bhī tanhā.ī se bezār hue Duub ga.e
ishq ke bahr meñ jo Duub ga.e paar hue
aur jo log yahāñ paar hue Duub ga.e
tum se pahle bhī ka.ī chāñd yahāñ par ubhre
jo sitāroñ ke gunahgār hue Duub ga.e
tairte tairte bezar hue Dub gae
hum mohabbat ke gunahgar hue Dub gae
hum KHayalon mein tere sham ko suraj ki tarah
jab bhi tanhai se bezar hue Dub gae
ishq ke bahr mein jo Dub gae par hue
aur jo log yahan par hue Dub gae
tum se pahle bhi kai chand yahan par ubhre
jo sitaron ke gunahgar hue Dub gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.