tajalli tur ki har su ayan hai
tajallī tuur kī har sū ayaañ hai
magar zauq-e-kalīmāna kahāñ hai
yahī hai rahbarī ai rahnumāo
na manzil hai na manzil kā nishāñ hai
lahū rotā hai jo auroñ kī ḳhātir
haqīqat meñ vahī dil shādmāñ hai
ajab shai hai rabāb-e-zindagī bhī
kabhī naġhma kabhī āh-o-fuġhāñ hai
agar vaqf-e-mohabbat ho to ne.amat
nahīñ to zindagī bār-e-garāñ hai
karishma hai ye terī be-ruḳhī kā
zamīñ dushman falak nā-mehrbāñ hai
ḳhirad kī raah meñ barg-e-gul-e-tar
junūñ kī raah meñ sang-e-girāñ hai
sun ai bedād-gar begāna-ḳhū sun
ye ḳhāmoshī bhī ik tarz-e-fuġhāñ hai
munavvar hai bashar kā zehn lekin
harīm-e-dil abhī zulmat-nishāñ hai
gulistāñ kī fazā ab bhī na badlī
vahī gulchīñ vahī barq-e-tapāñ hai
rihā.ī qaid se bad-tar hai ya.anī
dil-e-tā.ir asīr-e-āshiyāñ hai
miTāne se kahāñ miTtī hai 'sābir'
ye urdu 'mīr'-o-'ġhālib' kī zabāñ hai
tajalli tur ki har su ayan hai
magar zauq-e-kalimana kahan hai
yahi hai rahbari ai rahnumao
na manzil hai na manzil ka nishan hai
lahu rota hai jo auron ki KHatir
haqiqat mein wahi dil shadman hai
ajab shai hai rabab-e-zindagi bhi
kabhi naghma kabhi aah-o-fughan hai
agar waqf-e-mohabbat ho to neamat
nahin to zindagi bar-e-garan hai
karishma hai ye teri be-ruKHi ka
zamin dushman falak na-mehrban hai
KHirad ki rah mein barg-e-gul-e-tar
junun ki rah mein sang-e-giran hai
sun ai bedad-gar begana-KHu sun
ye KHamoshi bhi ek tarz-e-fughan hai
munawwar hai bashar ka zehn lekin
harim-e-dil abhi zulmat-nishan hai
gulistan ki faza ab bhi na badli
wahi gulchin wahi barq-e-tapan hai
rihai qaid se bad-tar hai yani
dil-e-tair asir-e-ashiyan hai
miTane se kahan miTti hai 'sabir'
ye urdu 'mir'-o-'ghaalib' ki zaban hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.