tajalliyon se andheron ki jang jari hai
tajalliyoñ se añdheroñ kī jang jaarī hai
ujāle surḳh-rū hoñ ye du'ā hamārī hai
jahāñ pe kal thā gulistāñ vo aaj maqtal hai
falak ḳhamosh hai phir dekheñ kis kī baarī hai
sar-e-niyāz jhukānā mohabbateñ denā
ye buz-dilī nahīñ dar-asl ḳhāksārī hai
rah-e-jumūd se nafrat uḌaan kī ḳhvāhish
haqīqatan ye zarūrat hai jāñ-nisārī hai
ye gulistāñ hai hamārī riyāzatoñ kā samar
ise sañvārne meñ sab kī hisse-dārī hai
tajalliyon se andheron ki jang jari hai
ujale surKH-ru hon ye du'a hamari hai
jahan pe kal tha gulistan wo aaj maqtal hai
falak KHamosh hai phir dekhen kis ki bari hai
sar-e-niyaz jhukana mohabbaten dena
ye buz-dili nahin dar-asl KHaksari hai
rah-e-jumud se nafrat uDan ki KHwahish
haqiqatan ye zarurat hai jaan-nisari hai
ye gulistan hai hamari riyazaton ka samar
ise sanwarne mein sab ki hisse-dari hai
- Book : Dar Haqeeqat (Pg. 21)
- Author : Azhar Shams
- Publication : Rujhaan Publications, Allahabad (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.