tajassus kahe ka kya ho gaya hai
tajassus kaahe kā kyā ho gayā hai
vo bichhḌā kab hai tujh meñ kho gayā hai
vahī ik shaḳhs jo kuchh bhī nahīñ thā
mujhe apnā ke sab kuchh ho gayā hai
chhaTā to kyā hai tere ġham kā bādal
baras kar aur gahrā ho gayā hai
mohabbat meñ to rāteñ jāgtī haiñ
koī kuchh soch kar hī so gayā hai
vo itne sañg-dil pahle kahāñ the
mirā milnā qayāmat ho gayā hai
mujhe be-maut ab marnā paḌegā
sunā hai koī merā ho gayā hai
ġhazal kah kar ġham-e-jānāñ se 'anjum'
ta.alluq aur gahrā ho gayā hai
tajassus kahe ka kya ho gaya hai
wo bichhDa kab hai tujh mein kho gaya hai
wahi ek shaKHs jo kuchh bhi nahin tha
mujhe apna ke sab kuchh ho gaya hai
chhaTa to kya hai tere gham ka baadal
baras kar aur gahra ho gaya hai
mohabbat mein to raaten jagti hain
koi kuchh soch kar hi so gaya hai
wo itne sang-dil pahle kahan the
mera milna qayamat ho gaya hai
mujhe be-maut ab marna paDega
suna hai koi mera ho gaya hai
ghazal kah kar gham-e-jaanan se 'anjum'
talluq aur gahra ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.