tajdid-e-mulaqat ki hasrat nahin hoti
tajdīd-e-mulāqāt kī hasrat nahīñ hotī
milte haiñ magar pahlī sī chāhat nahīñ hotī
ham us kī har ik chaal samajh jaate haiñ pahle
ab us kī kisī chaal pe hairat nahīñ hotī
nā-qābil-e-taslīm hai ab us kā chalan bhī
mushkil hai ki us shaḳhs se nafrat nahīñ hotī
sochā hai ka.ī baar kareñ us kī shikāyat
karte haiñ shikāyat to shikāyat nahīñ hotī
ma.amūl sā lagtā hai hameñ hijr kā mausam
ab us se bichhaḌte hue vahshat nahīñ hotī
jin bachchoñ ko māñ-bāp mohabbat nahīñ dete
un bachchoñ se māñ-bāp kī ḳhidmat nahīñ hotī
vo mujh ko Darātā hai judā.ī kī sazā se
ḳhud us ko judā.ī kī jasārat nahīñ hotī
ham DhūñDte rahte haiñ laḌā.ī ke bahāne
lekin kabhī laḌne kī bhī himmat nahīñ hotī
ik hifz-e-marāsim kī rivāyat thī ga.ī vo
ab tark-e-ta.alluq pe aziyyat nahīñ hotī
ham us ko bhulāne ke jatan kar to chuke haiñ
is tarah magar ḳhatm mohabbat nahīñ hotī
vo tum se ḳhafā hai to use ḳhud hī manāo
apnoñ ko manāne meñ qabāhat nahīñ hotī
ab tere tahā.if ko sañbhālā nahīñ jaatā
ham se tirī yādoñ kī hifāzat nahīñ hotī
jo mahr anā-gīr thī vo kaT bhī chukī hai
ab pichhle pahar tark-e-rifāqat nahīñ hotī
ik pal bhī tire shahr meñ rahnā huā mushkil
mushkil hai ki ab naql-e-sukūnat nahīñ hotī
ham koste rahte haiñ 'salīm' ahl-e-havas ko
kyoñ ham se ḳhilāf un ke baġhāvat nahīñ hotī
tajdid-e-mulaqat ki hasrat nahin hoti
milte hain magar pahli si chahat nahin hoti
hum us ki har ek chaal samajh jate hain pahle
ab us ki kisi chaal pe hairat nahin hoti
na-qabil-e-taslim hai ab us ka chalan bhi
mushkil hai ki us shaKHs se nafrat nahin hoti
socha hai kai bar karen us ki shikayat
karte hain shikayat to shikayat nahin hoti
mamul sa lagta hai hamein hijr ka mausam
ab us se bichhaDte hue wahshat nahin hoti
jin bachchon ko man-bap mohabbat nahin dete
un bachchon se man-bap ki KHidmat nahin hoti
wo mujh ko Daraata hai judai ki saza se
KHud us ko judai ki jasarat nahin hoti
hum DhunDte rahte hain laDai ke bahane
lekin kabhi laDne ki bhi himmat nahin hoti
ek hifz-e-marasim ki riwayat thi gai wo
ab tark-e-talluq pe aziyyat nahin hoti
hum us ko bhulane ke jatan kar to chuke hain
is tarah magar KHatm mohabbat nahin hoti
wo tum se KHafa hai to use KHud hi manao
apnon ko manane mein qabahat nahin hoti
ab tere tahaif ko sanbhaala nahin jata
hum se teri yaadon ki hifazat nahin hoti
jo mahr ana-gir thi wo kaT bhi chuki hai
ab pichhle pahar tark-e-rifaqat nahin hoti
ek pal bhi tere shahr mein rahna hua mushkil
mushkil hai ki ab naql-e-sukunat nahin hoti
hum koste rahte hain 'salim' ahl-e-hawas ko
kyon hum se KHilaf un ke baghawat nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.