Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tajdid-e-rah-o-rasm-e-mulaqat bhi hoti

Nasir Ansari

tajdid-e-rah-o-rasm-e-mulaqat bhi hoti

Nasir Ansari

MORE BYNasir Ansari

    tajdīd-e-rah-o-rasm-e-mulāqāt bhī hotī

    vo sāmne aate to koī baat bhī hotī

    be-tīr-o-kamāñ jis ne zamāne ko kiyā said

    ai kaash hadaf us mirī zaat bhī hotī

    ham phir bhī nikalte na sarāboñ ke bhañvar se

    is dasht-e-tapīda meñ jo barsāt bhī hotī

    mamnūn huuñ maiñ yuuñ bhī tirī marhamatoñ

    dāman ke shāyāñ koī sauġhāt bhī hotī

    ā.īna tirī sub.h-e-daraḳhshāñ ko dikhātā

    ḳhurshīd-ba-kaf yūñhī mirī raat bhī hotī

    is baat karam tak to rasā.ī thī yaqīnī

    gar saath koī sham.a-e-munājāt bhī hotī

    vo chāñd paikar kabhī āñgan meñ utartā

    raushan ye mirī vādī-e-zulmāt bhī hotī

    maiñ tere javābāt kuchh jā.eza letā

    hāthoñ meñ agar fard-e-savālāt bhī hotī

    ham karte shumār un farishta-nafasoñ meñ

    mansūb jo kuchh un se karāmāt bhī hotī

    phir qistoñ meñ 'nāsir' hameñ marnā nahīñ paḌtā

    hāsil jo yahāñ thoḌī murā.āt bhī hotī

    tajdid-e-rah-o-rasm-e-mulaqat bhi hoti

    wo samne aate to koi baat bhi hoti

    be-tir-o-kaman jis ne zamane ko kiya said

    ai kash hadaf us ka meri zat bhi hoti

    hum phir bhi nikalte na sarabon ke bhanwar se

    is dasht-e-tapida mein jo barsat bhi hoti

    mamnun hun main yun bhi teri marhamaton ka

    daman ke hi shayan koi saughat bhi hoti

    aaina teri subh-e-daraKHshan ko dikhata

    KHurshid-ba-kaf yunhi meri raat bhi hoti

    is baat karam tak to rasai thi yaqini

    gar sath koi shama-e-munajat bhi hoti

    wo chand sa paikar kabhi aangan mein utarta

    raushan ye meri wadi-e-zulmat bhi hoti

    main tere jawabaat ka kuchh jaeza leta

    hathon mein agar fard-e-sawalat bhi hoti

    hum karte shumar un ka farishta-nafason mein

    mansub jo kuchh un se karamat bhi hoti

    phir qiston mein 'nasir' hamein marna nahin paDta

    hasil jo yahan thoDi muraat bhi hoti

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now