tajdid zindagi ke ishaare hue to hain
tajdīd zindagī ke ishāre hue to haiñ
kuchh pal sahī vo aaj hamāre hue to haiñ
maanā nasīb ho na sakā koī āftāb
rātoñ meñ merī chāñd sitāre hue to haiñ
be-shak haqīqatoñ se bahut duur hai magar
be-shak yahī sarāb sahāre hue to haiñ
chhūTā nahīñ hai dāman-e-ummīd ab talak
ham bhī ai dost vaqt ke maare hue to haiñ
ye aur baat ham hī na mahzūz ho sake
ḳhush-rañg zindagī ke nazāre hue to haiñ
tajdid zindagi ke ishaare hue to hain
kuchh pal sahi wo aaj hamare hue to hain
mana nasib ho na saka koi aaftab
raaton mein meri chand sitare hue to hain
be-shak haqiqaton se bahut dur hai magar
be-shak yahi sarab sahaare hue to hain
chhuTa nahin hai daman-e-ummid ab talak
hum bhi ai dost waqt ke mare hue to hain
ye aur baat hum hi na mahzuz ho sake
KHush-rang zindagi ke nazare hue to hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.