tajraba hai marhala hai hadisa hai zindagi
tajraba hai marhala hai hādisa hai zindagī
zindagī manzil nahīñ hai rāsta hai zindagī
sāmne hai ik haqīqat ik irāda ik adā
chehra hī chehra nahīñ hai aa.ina hai zindagī
kaun hai hamdard kis kā ye batānā hai kaThin
har qadam pe ek taaza marhala hai zindagī
koī hasrat hai na armāñ hai na hai koī umiid
lag rahā hai dard kā hī tabsira hai zindagī
maut to aa.egī ek din ban ke paiġhām-e-sukūñ
bas abhī to mushkiloñ kā sāmnā hai zindagī
tajraba hai marhala hai hadisa hai zindagi
zindagi manzil nahin hai rasta hai zindagi
samne hai ek haqiqat ek irada ek ada
chehra hi chehra nahin hai aaina hai zindagi
kaun hai hamdard kis ka ye batana hai kaThin
har qadam pe ek taza marhala hai zindagi
koi hasrat hai na arman hai na hai koi umid
lag raha hai dard ka hi tabsira hai zindagi
maut to aaegi ek din ban ke paigham-e-sukun
bas abhi to mushkilon ka samna hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.