tajraba rahnuma nahin hota
tajraba rahnumā nahīñ hotā
jo huā bārhā nahīñ hotā
vaqt va.adoñ kā saḳht dushman hai
aadmī bevafā nahīñ hotā
Dūbne vaale kis taraf jaa.eñ
aab par naqsh-e-pā nahīñ hotā
us ne pahle hī jaan lenā thā
aadmī devtā nahīñ hotā
is kī pursish bhī ek din hogī
haq jo ḳhud kā adā nahīñ hotā
khaa.e jaatā hai bas yahī ehsās
kaash jo kuchh huā nahīñ hotā
tajraba rahnuma nahin hota
jo hua barha nahin hota
waqt wadon ka saKHt dushman hai
aadmi bewafa nahin hota
Dubne wale kis taraf jaen
aab par naqsh-e-pa nahin hota
us ne pahle hi jaan lena tha
aadmi dewta nahin hota
is ki pursish bhi ek din hogi
haq jo KHud ka ada nahin hota
khae jata hai bas yahi ehsas
kash jo kuchh hua nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.