tajribe kijiye mazid nae
tajribe kījiye mazīd na.e
ho bhī sakte haiñ ġham mufīd na.e
āñsuoñ kī ġhizā muhayyā kar
zaḳhm duniyā se kuchh ḳharīd na.e
qais kī saf meñ ham ko shāmil kar
ishq ham haiñ tire murīd na.e
end picture yahāñ pe thoḌī hai
aur abhī ā.eñge yazīd na.e
kaun rishte bahāl kartā hai
raaz ifshā karegī iid na.e
raat hone do phir batā.eñge
zaḳhm kis darja haiñ shadīd na.e
tajribe kijiye mazid nae
ho bhi sakte hain gham mufid nae
aansuon ki ghiza muhayya kar
zaKHm duniya se kuchh KHarid nae
qais ki saf mein hum ko shamil kar
ishq hum hain tere murid nae
end picture yahan pe thoDi hai
aur abhi aaenge yazid nae
kaun rishte bahaal karta hai
raaz ifsha karegi id nae
raat hone do phir bataenge
zaKHm kis darja hain shadid nae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.