takabbur ka safina ai sitamgar Dub jata hai
takabbur kā safīna ai sitamgar Duub jaatā hai
anā ke ek qatre meñ samundar Duub jaatā hai
sadā hai sarfarāzī ḳhāksārī ko zamāne meñ
ki tinkā tairtā rahtā hai patthar Duub jaatā hai
samundar kī tahoñ se log motī DhūñD laate haiñ
koī bahr-e-talātum meñ utar kar Duub jaatā hai
safar rāh-e-mohabbat kā nahīñ āsāñ mire hamdam
ye aisā bahr hai jis meñ shanāvar Duub jaatā hai
tazallum kī hukūmat der tak rahtī nahīñ qaa.em
lahū meñ apne hī ik din sitamgar Duub jaatā hai
kabhī ġhaflat meñ mat rahnā ki aksar hotā hai aisā
safīna shauq kā sāhil se lag kar Duub jaatā hai
ġhazal hotī hai jab taḳhlīq to ai 'nasr' us lamhe
ḳhayāloñ ke samundar meñ suḳhanvar Duub jaatā hai
takabbur ka safina ai sitamgar Dub jata hai
ana ke ek qatre mein samundar Dub jata hai
sada hai sarfaraazi KHaksari ko zamane mein
ki tinka tairta rahta hai patthar Dub jata hai
samundar ki tahon se log moti DhunD late hain
koi bahr-e-talatum mein utar kar Dub jata hai
safar rah-e-mohabbat ka nahin aasan mere hamdam
ye aisa bahr hai jis mein shanawar Dub jata hai
tazallum ki hukumat der tak rahti nahin qaem
lahu mein apne hi ek din sitamgar Dub jata hai
kabhi ghaflat mein mat rahna ki aksar hota hai aisa
safina shauq ka sahil se lag kar Dub jata hai
ghazal hoti hai jab taKHliq to ai 'nasr' us lamhe
KHayalon ke samundar mein suKHanwar Dub jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.