takalluf chhoD kar mere barabar baiTh jaega
takalluf chhoḌ kar mere barābar baiTh jā.egā
tasavvur meñ abhī vo paas aa kar baiTh jā.egā
dar-o-dīvār par itnā paḌā hai saare din paanī
agar kal dhuup bhī niklegī to ghar baiTh jā.egā
aḌegā ḳhud to lā.egā ḳhabar saat āsmānoñ kī
uḌāyā to parinda chhat ke uupar baiTh jā.egā
na manzil ko patā hogā na rastoñ ko ḳhabar hogī
musāfir ek din ārām se ghar baiTh jā.egā
ḳhayāl achchhā huā to sher ban kar aa.egā bāhar
bahut achchhā huā to dil ke andar baiTh jā.egā
takalluf chhoD kar mere barabar baiTh jaega
tasawwur mein abhi wo pas aa kar baiTh jaega
dar-o-diwar par itna paDa hai sare din pani
agar kal dhup bhi niklegi to ghar baiTh jaega
aDega KHud to laega KHabar sat aasmanon ki
uDaya to parinda chhat ke upar baiTh jaega
na manzil ko pata hoga na raston ko KHabar hogi
musafir ek din aaram se ghar baiTh jaega
KHayal achchha hua to sher ban kar aaega bahar
bahut achchha hua to dil ke andar baiTh jaega
- Book : lafz magazine (Pg. february-2013)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.