Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

takalluf nahin humse zeba tumhaara

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

takalluf nahin humse zeba tumhaara

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    takalluf nahīñ ham se zebā tumhārā

    tumhāre hamāre hamārā tumhārā

    liyā dil to lo jaan bhī kyoñ rahe

    tamannā hamārī taqāzā tumhārā

    ye tasvīr-chehra utar kyoñ gayā hai

    khiñche kis se ho kyā hai naqsha tumhārā

    na tiir aah dast-e-qudrat meñ apne

    na shamshīr-e-abrū pe qabza tumhārā

    chale ham to hasrat le kar raqībo

    mubārak rahe tum ko pyārā tumhārā

    raqīboñ se laḌne qissa na poñchho

    fazīhat hamārī tamāshā tumhārā

    na tahrīr-e-ḳhat hai na bait abrvīñ haiñ

    ye mazmūñ hamārā vo fiqrā tumhārā

    maiñ apne jazbe qaa.il thā lekin

    ġhazab hai mirī jaan ġhussa tumhārā

    mujhe aur se kyā maiñ āshiq huuñ pyāre

    tumhārā tumhārā tumhārā tumhārā

    sulaimāñ huuñ par yuuñ agar ḳhaak ho kar

    amal meñ ho naqsh-e-kaf-e-pā tumhārā

    ḳhafā hote kyoñ ho ki rakhtā hai pyāre

    na jazba hamārā na jalva tumhārā

    'nasīm' is chaman meñ gul-e-tar sūrat

    phaTe kapḌe rakhte haiñ parda tumhārā

    takalluf nahin hum se zeba tumhaara

    tumhaare hamare hamara tumhaara

    liya dil to lo jaan bhi kyon rahe ji

    tamanna hamari taqaza tumhaara

    ye taswir-chehra utar kyon gaya hai

    khinche kis se ho kya hai naqsha tumhaara

    na tir aah ka dast-e-qudrat mein apne

    na shamshir-e-abru pe qabza tumhaara

    chale hum to hasrat hi le kar raqibo

    mubarak rahe tum ko pyara tumhaara

    raqibon se laDne ka qissa na ponchho

    fazihat hamari tamasha tumhaara

    na tahrir-e-KHat hai na bait abrwin hain

    ye mazmun hamara wo fiqra tumhaara

    main apne hi jazbe ka qail tha lekin

    ghazab hai meri jaan ghussa tumhaara

    mujhe aur se kya main aashiq hun pyare

    tumhaara tumhaara tumhaara tumhaara

    sulaiman hun par yun agar KHak ho kar

    amal mein ho naqsh-e-kaf-e-pa tumhaara

    KHafa hote kyon ho ki rakhta hai pyare

    na jazba hamara na jalwa tumhaara

    'nasim' is chaman mein gul-e-tar ki surat

    phaTe kapDe rakhte hain parda tumhaara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now