takallufat ke sahra mein kho gaya koi
takallufāt ke sahrā meñ kho gayā koī
qarīb aa ke bahut duur ho gayā koī
sivā.e apne hameñ kuchh nazar nahīñ aatā
hamārī aañkh meñ sūraj samo gayā koī
lagā.eñ baaġh phaloñ ke huī na ye taufīq
use bhī chaaT ga.e ham jo bo gayā koī
zamīn oḌh ke sonā sabhī ko hai lekin
'hafīz' vaqt se pahle hī so gayā koī
takallufat ke sahra mein kho gaya koi
qarib aa ke bahut dur ho gaya koi
siwae apne hamein kuchh nazar nahin aata
hamari aankh mein suraj samo gaya koi
lagaen bagh phalon ke hui na ye taufiq
use bhi chaT gae hum jo bo gaya koi
zamin oDh ke sona sabhi ko hai lekin
'hafiz' waqt se pahle hi so gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.