takallufat mein lamhat mat ganwaya kar
takallufāt meñ lamhāt mat gañvāyā kar
bilā-irāda bhī thoḌā sā muskurāyā kar
hamāre sāmne ye vaz.a mat banāyā kar
farāḳh-dil hai to har baat bhuul jaayā kar
hamāre sher tirā zikr baat ek hī hai
hamāre sher hameñ yaad mat dilāyā kar
tabī.atoñ kī ravānī na jaane kyā dikhlā.e
kisī ke zāhirī ahvāl par na jaayā kar
kisī ko ye lab-o-lahja bhalā lagā hai 'nasīm'
ġhazal bhī tū isī andāz meñ sunāyā kar
takallufat mein lamhat mat ganwaya kar
bila-irada bhi thoDa sa muskuraya kar
hamare samne ye waza mat banaya kar
faraKH-dil hai to har baat bhul jaya kar
hamare sher tera zikr baat ek hi hai
hamare sher hamein yaad mat dilaya kar
tabiaton ki rawani na jaane kya dikhlae
kisi ke zahiri ahwal par na jaya kar
kisi ko ye lab-o-lahja bhala laga hai 'nasim'
ghazal bhi tu isi andaz mein sunaya kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.