taKHliq ki duniya to asrar ki duniya hai
taḳhlīq kī duniyā to asrār kī duniyā hai
har fikr meñ jannat hai har lafz meñ sahrā hai
ā.īna-e-fitrat meñ har husn anokhā hai
dariyāoñ meñ sahrā hai sahrāoñ meñ dariyā hai
har hādsa-e-nau kī likkhī hai ḳhabar is par
insān kā chehra kyā aḳhbār kā chehra hai
is talḳh haqīqat ko taslīm kiyā jaa.e
maflūj taqāzoñ kā har zehn pe pahra hai
tafrīq kī la.anat ke qaa.il hue ham varna
shīsha bhī to patthar hai patthar bhī to shīsha hai
jazbāt kī akkāsī jo lafz na kar paa.e
vo dasht-e-ma.ānī kā maflūj parinda hai
is ahd-e-siyāsat kī thoḌī sī jhalak dekhī
bastī meñ ḳhamoshī hai marghaT pe tamāshā hai
insāñ ko 'zahīr' is kā ehsās nahīñ shāyad
phūloñ kī rifāqat meñ kāñTā bhī mahaktā hai
taKHliq ki duniya to asrar ki duniya hai
har fikr mein jannat hai har lafz mein sahra hai
aaina-e-fitrat mein har husn anokha hai
dariyaon mein sahra hai sahraon mein dariya hai
har hadsa-e-nau ki likkhi hai KHabar is par
insan ka chehra kya aKHbar ka chehra hai
is talKH haqiqat ko taslim kiya jae
mafluj taqazon ka har zehn pe pahra hai
tafriq ki lanat ke qail hue hum warna
shisha bhi to patthar hai patthar bhi to shisha hai
jazbaat ki akkasi jo lafz na kar pae
wo dasht-e-maani ka mafluj parinda hai
is ahd-e-siyasat ki thoDi si jhalak dekhi
basti mein KHamoshi hai marghaT pe tamasha hai
insan ko 'zahir' is ka ehsas nahin shayad
phulon ki rifaqat mein kanTa bhi mahakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.