taKHrib se tamir ke pahlu nikle
taḳhrīb se ta.amīr ke pahlū nikle
zulmāt se tanvīr ke pahlū nikle
darvāze bhī raushan hue partav se tire
dīvāroñ se tasvīr ke pahlū nikle
ḳhāmoshī ne āvāz uThā.ī āḳhir
nam āñkhoñ se taqrīr ke pahlū nikle
vo jis pa baserā kiyā āzādī ne
us shāḳh se zanjīr ke pahlū nikle
mahrūm-e-tabassum hī rahā apnā jahāñ
kyā roz-o-shab-e-‘mīr’ ke pahlū nikle
dushman ko kaleje se lagāyā ham ne
tab qalb kī tasḳhīr ke pahlū nikle
jab ho sakā shahzāda-e-dil taḳht-nashīñ
tab adl-e-jahāñgīr ke pahlū nikle
guzrā mire alfāz pe tāroñ kā gumāñ
tāroñ se bhī tahrīr ke pahlū nikle
taKHrib se tamir ke pahlu nikle
zulmat se tanwir ke pahlu nikle
darwaze bhi raushan hue partaw se tere
diwaron se taswir ke pahlu nikle
KHamoshi ne aawaz uThai aaKHir
nam aankhon se taqrir ke pahlu nikle
wo jis pa basera kiya aazadi ne
us shaKH se zanjir ke pahlu nikle
mahrum-e-tabassum hi raha apna jahan
kya roz-o-shab-e-‘mir’ ke pahlu nikle
dushman ko kaleje se lagaya hum ne
tab qalb ki tasKHir ke pahlu nikle
jab ho saka shahzada-e-dil taKHt-nashin
tab adl-e-jahangir ke pahlu nikle
guzra mere alfaz pe taron ka guman
taron se bhi tahrir ke pahlu nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.