taKHt chaha na kabhi masnad-e-shahi chahi
taḳht chāhā na kabhī masnad-e-shāhī chāhī
ham ne zālim se faqat ḳhair-nigāhī chāhī
daar kā ḳhauf nahīñ phir bhī zamīñ vāloñ se
jo sadāqat pe ho mabnī vo gavāhī chāhī
jhuuT ke bal pe koī vaqt kā farzand huā
ham ne sach bol ki bas apnī tabāhī chāhī
ishq kī rah meñ zafar-yābī kī hasrat le kar
ham ne har daur meñ tā.īd-e-ilāhī chāhī
kyā kabhī tum se mohabbat nahīñ chāhī ham ne
us kī āvāz ye aa.ī ki haañ chāhī chāhī
jang laḌte rahe dar-pesh masā.il se 'shafīq'
ham ne duniyā se kahāñ pusht-panāhī chāhī
taKHt chaha na kabhi masnad-e-shahi chahi
hum ne zalim se faqat KHair-nigahi chahi
dar ka KHauf nahin phir bhi zamin walon se
jo sadaqat pe ho mabni wo gawahi chahi
jhuT ke bal pe koi waqt ka farzand hua
hum ne sach bol ki bas apni tabahi chahi
ishq ki rah mein zafar-yabi ki hasrat le kar
hum ne har daur mein taid-e-ilahi chahi
kya kabhi tum se mohabbat nahin chahi hum ne
us ki aawaz ye aai ki han chahi chahi
jang laDte rahe dar-pesh masail se 'shafiq'
hum ne duniya se kahan pusht-panahi chahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.