taKHt-e-taus mera taKHt-e-hazara tum ho
taḳht-e-tā.ūs mirā taḳht-e-hazāra tum ho
mere shahzāde mirī aañkh kā taarā tum ho
maiñ tire ishq meñ lailā to kabhī hiir banī
tum ho majnūñ yā ho farhād gavārā tum ho
maiñ ne kaaTī hai tire pyaar meñ ye umr-e-ravāñ
jis ke ḳhvāboñ meñ sadā vaqt guzārā tum ho
ziist to terī amānat thī tire saath rahī
aur phir khel samajh kar jise haarā tum ho
jis kī āġhosh meñ merā hai safīna 'vishma'
is samundar kā mirī jaan kināra tum ho
taKHt-e-taus mera taKHt-e-hazara tum ho
mere shahzade meri aankh ka tara tum ho
main tere ishq mein laila to kabhi hir bani
tum ho majnun ya ho farhad gawara tum ho
main ne kaTi hai tere pyar mein ye umr-e-rawan
jis ke KHwabon mein sada waqt guzara tum ho
zist to teri amanat thi tere sath rahi
aur phir khel samajh kar jise haara tum ho
jis ki aaghosh mein mera hai safina 'wishma'
is samundar ka meri jaan kinara tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.