taKHt-o-taj aur na kuchh mal-o-zar chahiye
taḳht-o-tāj aur na kuchh māl-o-zar chāhiye
mujh ko to sirf us kī ḳhabar chāhiye
dhuup āñgan se jaatī nahīñ hai kabhī
saa.e ke vāste ik shajar chāhiye
dar-ba-dar Thokareñ khā ke aaya huuñ maiñ
mere sar ko tirā sang-e-dar chāhiye
toḌ de jo qafas kī sabhī tīliyāñ
mujh ko vo quvvat-e-bāl-o-par chāhiye
jin kī rāteñ guzartī haiñ zer-e-falak
un ko bhī shahr meñ koī ghar chāhiye
naqsh-e-ġham jo miTā de dil-e-zār kā
'dāġh' ko vo karam kī nazar chāhiye
taKHt-o-taj aur na kuchh mal-o-zar chahiye
mujh ko to sirf us ki KHabar chahiye
dhup aangan se jati nahin hai kabhi
sae ke waste ek shajar chahiye
dar-ba-dar Thokaren kha ke aaya hun main
mere sar ko tera sang-e-dar chahiye
toD de jo qafas ki sabhi tiliyan
mujh ko wo quwwat-e-baal-o-par chahiye
jin ki raaten guzarti hain zer-e-falak
un ko bhi shahr mein koi ghar chahiye
naqsh-e-gham jo miTa de dil-e-zar ka
'dagh' ko wo karam ki nazar chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.