taKHta-e-dar pe lai nigah-e-naz mujhe

taKHta-e-dar pe lai nigah-e-naz mujhe
Munawwar Tabish Sambhali
MORE BYMunawwar Tabish Sambhali
taḳhta-e-dār pe laa.ī nigah-e-nāz mujhe
'ishq ne maan liyā sāhib-e-e'zāz mujhe
jhuum ke ġhuncha-o-gul jab bhī hañsā karte haiñ
tere jaise hī lagā karte haiñ andāz mujhe
ik qadam baḌhtā huuñ aur phir se palaT aatā huuñ
kahīñ jaane nahīñ detī tirī āvāz mujhe
qaid se kyā mujhe sayyād rihā.ī detā
uḌ gayā le ke mirā jazba-e-parvāz mujhe
rūkhī sūkhī pe qanā'at hai qanā'at kī qasam
maiñ ne kab chāhā mile dā’vat-e-shīrāz mujhe
is na.e daur ke insānoñ kī ġhairat ko salām
ḳhud daġhābāz samajhte haiñ daġhābāz mujhe
sab ke sab mujh ko banā dete haiñ pāgal 'tābish'
kabhī āñkheñ kabhī gesū kabhī andāz mujhe
taKHta-e-dar pe lai nigah-e-naz mujhe
'ishq ne man liya sahib-e-e'zaz mujhe
jhum ke ghuncha-o-gul jab bhi hansa karte hain
tere jaise hi laga karte hain andaz mujhe
ek qadam baDhta hun aur phir se palaT aata hun
kahin jaane nahin deti teri aawaz mujhe
qaid se kya mujhe sayyaad rihai deta
uD gaya le ke mera jazba-e-parwaz mujhe
rukhi sukhi pe qana'at hai qana'at ki qasam
main ne kab chaha mile da’wat-e-shiraaz mujhe
is nae daur ke insanon ki ghairat ko salam
KHud daghabaz samajhte hain daghabaz mujhe
sab ke sab mujh ko bana dete hain pagal 'tabish'
kabhi aankhen kabhi gesu kabhi andaz mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.