taKHta-e-mashq banun jaan-ba-sipar ho jaun
taḳhta-e-mashq banūñ jāñ-ba-sipar ho jā.ūñ
tū batā kaun sā chehra luuñ kidhar ho jā.ūñ
be-zabānoñ kī rifāqat bhī mayassar kar lī
boliye aap kā manzūr-e-nazar ho jā.ūñ
raah takte hue āñkheñ to adhūrī Thahrīñ
kahiye sarkār ki ab rāhguzar ho jā.ūñ
merī āvāz se himmat ko jilā miltī hai
be-kasī TuuT paḌe maiñ ki jidhar ho jā.ūñ
ḳhair Thahrī hai zamāne ke muāfiq honā
hone ko jī nahīñ chāhe hai magar ho jā.ūñ
jo baġhāvat pe va.ī.doñ se nikhar jaatā hai
'farhat'-e-talḳh-navā tesha-nazar ho jā.ūñ
taKHta-e-mashq banun jaan-ba-sipar ho jaun
tu bata kaun sa chehra lun kidhar ho jaun
be-zabanon ki rifaqat bhi mayassar kar li
boliye aap ka manzur-e-nazar ho jaun
rah takte hue aankhen to adhuri Thahrin
kahiye sarkar ki ab rahguzar ho jaun
meri aawaz se himmat ko jila milti hai
be-kasi TuT paDe main ki jidhar ho jaun
KHair Thahri hai zamane ke muafiq hona
hone ko ji nahin chahe hai magar ho jaun
jo baghawat pe waidon se nikhar jata hai
'farhat'-e-talKH-nawa tesha-nazar ho jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.