taKHti qalam dawat se pahle ki baat hai
taḳhtī qalam davāt se pahle kī baat hai
ye ishq kā.enāt se pahle kī baat hai
sach hai ki maiñ bhī pyaar kā munkir banā rahā
haañ haañ ye terī zaat se pahle kī baat hai
ab to tire ġhalat pe bhī āmīn kah diyā
inkār terī baat se pahle kī baat hai
bas be-sabab furāt pe ilzām aa gayā
ye pyaas to furāt se pahle kī baat hai
kin kā dahan talāsh kareñ mil ke dosto
ye lafz shash-jahāt se pahle kī baat hai
maiñ naaz zindagī ke uThātā rahā bajā
par ye mirī vafāt se pahle kī baat hai
ik karb-e-nā-tamām se niklā to ro paḌā
merī ḳhushī najāt se pahle kī baat hai
'kāzim' thā ḳhauf rizq-e-suḳhan meñ kamī na ho
ye ishq kī zakāt se pahle kī baat hai
taKHti qalam dawat se pahle ki baat hai
ye ishq kaenat se pahle ki baat hai
sach hai ki main bhi pyar ka munkir bana raha
han han ye teri zat se pahle ki baat hai
ab to tere ghalat pe bhi aamin kah diya
inkar teri baat se pahle ki baat hai
bas be-sabab furaat pe ilzam aa gaya
ye pyas to furaat se pahle ki baat hai
kin ka dahan talash karen mil ke dosto
ye lafz shash-jahat se pahle ki baat hai
main naz zindagi ke uThata raha baja
par ye meri wafat se pahle ki baat hai
ek karb-e-na-tamam se nikla to ro paDa
meri KHushi najat se pahle ki baat hai
'kazim' tha KHauf rizq-e-suKHan mein kami na ho
ye ishq ki zakat se pahle ki baat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.