taKHtiyan sab utar di gai hain
taḳhtiyāñ sab utaar dī ga.ī haiñ
mire ghar kā kahīñ pata hī nahīñ
reg-e-biryāñ pe chal ke aa.e haiñ
paañv meñ koī aabla hī nahīñ
zaḳhm-e-dil ko talāsh-e-marham thī
aur marham kahīñ milā hī nahīñ
ham ne dastak to dī bahut lekin
phir koī dar kabhī khulā hī nahīñ
zindagī se kabhī banī na mirī
maut par iḳhtiyār thā hī nahīñ
dhuup bhī qahr ban ke barsī aur
sā.ebāñ ret se banā hī nahīñ
taKHtiyan sab utar di gai hain
mere ghar ka kahin pata hi nahin
reg-e-biryan pe chal ke aae hain
panw mein koi aabla hi nahin
zaKHm-e-dil ko talash-e-marham thi
aur marham kahin mila hi nahin
hum ne dastak to di bahut lekin
phir koi dar kabhi khula hi nahin
zindagi se kabhi bani na meri
maut par iKHtiyar tha hi nahin
dhup bhi qahr ban ke barsi aur
saeban ret se bana hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.